
Aajkal ki duniya mein aksar hamara Computer se pala padta rehta hai ,kya apane kabhi ape computer ya laptop pe keyboard ki keys ko dhyan se dekha hai . ab aap jab dekhoge to paoge ki aapke desktop ya laptop ke keyboard par F or J button ke nichhe ki taraf ek nishan hota hai ,ek choti si line ya aap keh sakte ho ki ek uthi hui lines jaisa kuch. kya aapne socha hai ki in 2 buttons pe hi aisa kyu hota hai ,baki keyboard ke buttons par kyu nahi ,toh is article mein aap janenge ki aisa kyu hota hai ….
Actually computer keyboard par jo beech wali sari line ko Home Row kaha jata hai .jab hum typing sikhte hai to hum ishi line se start karte hai is line mein humhe A,S,D,F,G,H,J,K and L jaise kuch buttons milte hai ,agar aap dhyan se dekhoge to aap paoge ki F or J wale button keyboard ke beech men hote hai means middle mein hote hai line ke,to isliye in buttons pe alag se ubhaar dia hota hai taki jab aap type kre to aapki ungaliyon ko pata chal jaye ki woh kis button par hai ,kyuonki type karte waqt aapki eyes screen par honi chiye na ki kekyboard ko hi dekh ke likhte rahe aap,agar keyboard ko dekh ke hi likhoge to typing nahi sikh paoge kabhi.
Yeh bhi Dekhe:
Typing karte samay aapko sabse pehle Home Row par 5 Ungliyon (Fingers) se hi type karna shikhna chiye .aapki left aur right hand ki fingers hamesha F or J par honi chiye,phir dheere dheere ishi tarike se aap fast typing bhi karne lagoge. isliye hamesha typing karte samay jab bhi type kre toh yaad rakhe ki aapke dono hand ki first finger F or J par ho .
Agar aapko Yeh Article Pasand aaya hai aur aapko is se kuch shikne ko mila hai to aap mujhe Social network jaise ki Youtube , Twitter , Facebook , Instagram , Telegram par Follow kar sakte hai aisi hi nyi jaankari se related article paane ke liye.Aur aap is post ko apne Relatives,Friends ko Share karna na bhule. Dhanywaad aapka din subh ho ????