WhatsApp chats ko Purane Phone se Naye Phone mein Transfer Karne ka Trika

0
403
whatsapp chat transfer kaise kre

Aaj ke Samay mein agar aap Apne old phone se new phone per switch kar rahe hain toh pahle Jitna Mushkil Nahin Hai. Lekin Kuchh battain aisi Hain Jo Kai baar old device Mein reh Jaati Hai Khas Karke text message, Jeene Hum Kai baar backup karna Bhul Jaate Hain.

Whatsapp ke pass aapke Sabhi message ko purane phone se naye phone mein laane ka option hota hai. Whatsapp ek instant messaging App hai aur almost Har Koi iska use karta hai. isliye purane device mein jo chat hoti hai usko transfer karna Jaruri ho jata hai.

WhatsApp chat Main Na Keval Jaruri contacts aur Jankari Hoti Hai, balki media attachment bhi Shamil Rehte Hain. jinki jarurat Naye device main bhi padati hai. WhatsApp chat ko transfer karne ka sabse easy Tarika hai Google Cloud or iCloud per Unka backup kar lena.

Android Phone Mein Backup Kaise le

Naye phone mein purani chat transfer karne ke liye sabse pehle purane phone mein WhatsApp kholna Hoga.

iske baad screen par upper right hand side corner mein diye 3 dots ko Tap kre.

-Settings mein jaye aur phir Chats par click kre

iske baad Chats backup par Tap kre

iske baad aap chats ko backup karne ke liye manually ya automatically (weekly, monthly etc) ka option choose kar sakte hai

Agar aap chats ko manually backup ka option choose karte hai toh whatsapp ushi time google drive par ek backup create krega. aur phir next time aap jab whatsapp backup karnge toh aapko yeh trika dobara nahi karni padegi. agar aap automatically ka option choose karte hai toh,whatsapp har week ya monthly bina aapke kuch kiye chats ka backup rakhne lagega.

Also Read:  Google Duo Group Call: Android,iPhone,iPad par Group Call kaise kare

ab jab aap nye phone mein whatsapp install krenge to aapse google drive se purani chats or media recover karne ke liye pucha jayega.

Hamari salah yeh hai ki nye phone mein whatsapp use karne se pehle apne purane phone mein chats ka backup le le.

iPhones mein Kaise le Backup

Apni Apple ID mein jaye aur  iCloud ko turn on kar de

Ab WhatsApp open kre aur Settings mein jaye

iske baad Chats par click kre aur phir Chat Backup par Tap kre. yahan bhi aap manually ya automatically backup ka option choose kar sakte hai .aapko video ko add karne ya na karne ka option nahi milta hai.

Jab aap nye device par wahtsapp chalayenge to aapko iCloud se old chat restore karne ke liye pucha jayega

Importent Tip- Agar aap iOS se Android ya Android se iOS par move kar rahe hai toh aap nyi device mein old chat restore nahi kar payenge kyuon ki iOS google drive se aur Android iCloud se restore nahi karta.

Also read: WhatsApp Animated Sticker feature Aise kare use

Agar aapko Yeh Article Pasand aaya hai aur aapko is se kuch shikne ko mila hai to aap mujhe Social network jaise ki Youtube , Twitter , Facebook , Instagram , Telegram par Follow kar sakte hai aisi hi nyi jaankari se related article paane ke liye.Aur aap is post ko apne Relatives,Friends ko Share karna na bhule. Dhanywaad aapka din subh ho ????

Leave a Reply