New Smartphone Lene se Pehle yeh jarur Dekhe

0
936
myth-vs-fact-in-smartphones

Aajkal Phone mein RAM Ka size 2GB,4GB,8GB,12GB milta hai. Pichhle kuch Salon Mein Phone aur uske parts aur features sab kuch badal gaya hai. Camera ke megapixel bhi dekhen to pahle Jahan 1.2 Megapixel ke Nokia camera se bhi Ham khush ho Jaate the, ab 108 megapixel bhi Kam Lagta Hai. Kya aapane Kabhi Socha Hai Ki 4GB RAM mein to laptop chal Jata Hai fir aakhir phone mein iska Kya Kam Kai. Logon ka yah manana hota hai ki agar RAM jyada hai ya fir megapixel jyada hai to aapke liye phone behtar hai lekin kya yeh baat sach Hai chaliye is post hum yeh jante hain kuch aise myth ya rumours…..

  1. Kya Jyada RAM hai toh HANG nahi hoga phone…

ram-usage-smartphones-byteshastra

ab yah bhi galat soch hai, Jyada RAM hai toh bhi phone mein Behtar processor Hona chahie. iPhone ki Hi Baat Kar Lijiye iPhone Mein 2 sal pahle Tak 1 GB RAM hai Aati Thi ,Fir Bhi Kai Android smartphone se Aage rahata Tha vah. Ab Agar Yahi baat ki Jaaye 4GB ram wale smartphone ki to vah bhi HANG hota hai. Agar aapke smartphone Mein Ram jyada hai aur processor hi kamjor Hai To Jyada Ram ka istemal bhi aap thik dhang se nahin kar Payenge.

2. Kya Jyada Pixel Matlab Jyada Behtar Camera

megapixel in camera-byteshastra

mere pass to 21 megapixel ka phone Hai Lekin pata nahin photo Kyon Sahi Nahin aa Rahi ,Shayad setting Mein Koi Gadbad Hai .Aisa Shayad aapane Aksar Suna hoga smartphone users ke dwara.  megapixel matlab bada photo size photo quality Asal Mein Camera sensor ki vajah se aati hai yahi vajah hai ki Android phone ka 21 megapixel bhi iPhone ke 8 megapixel se kamal ka photo deta hai.

3. Kya Powerfull Processor Matlab phone Hang nahi hoga

smartphone-processor-byteshastra

Agar aapke phone mein Octa-Core processor hai aur aap  soch rahe hain Ki Ab To phone HANG Hoga hi nahin to Janab aap ko Soch badalne ki jarurat hai, agar 2GB RAM wale phone mein Octa Core processor Hai To woh high memory games khelne mein bhi HANG ho sakta hai, koi Badi baat nahin hai ki aap ka naya phone aapko Aise Pareshan Karen.processor ki power double kar Lene se phone ki power double Nahin Hoti, phone ki working ke liye software bhi utna hi jimmedar hai.

Also Read:  Windows 1.04 (1985) Version on Tesla SMEP PP06

 4. Kya More Feature Matlab Better Phone

Aapke kisi dost ya ristedaar ne aapko kabhi na kabhi kaha hoga ki uske phone mein 2.5 Ghz ka processor Hai, itni badi screen Hai ,phone mein itne sare feature hai,market Mein Har Sal Kai phone Aate Hain unmein se Kai phone ke box par likhe hue features kafi acche hote hain. lekin Jaruri Nahin Ki woh phone bhi achcha ho. phone Lene se pahle Dhyan Rakhenge Aap ki jarurat kya hai, camera ,screen, power ya fir game, ushi ke hisab se phone khariden.

features-of smartphones-byteshastra

Jab Bhi aapko naya phone lena ho to pahle features Dekhe aur compare Karen. Agar Achcha Processor Nahin Hai To aapke liye Jyada RAM hone Ka Bhi Koi fayda Nahin. Mostly smartphone mein Snapdragon processor hai aur agar range 400 tak hai Jaise Snapdragon 420, 435  to aapke liye 2-3 GB RAM Kafi hai. agar 600 ki range mein hi Snapdragon 625, 630 to aap 4GB tak RAM wala phone Le sakte hain .Agar us se uper hai to 4GB se leakar 6GB ya 8GB RAM wale smartphone  ka maja aap le sakte hain. ya sahi hai ki Jyada feature wale smartphone Acche Lagte Hain, lekin Kai bar bahut jyada Complex smartphone Lene se aapke paise hi Barbad hote hain agar aap phone ke 70% features use nahin kar rahe hain To Aisa phone Lene se mere hisab se aap ka nuksan hi Hai.

Yeh bhi Dekhe USB Type-C Kya hai ? Yeh USB 2.0,Micro USB,Mini USB se Alag kaise hai ?

Agar aapko Yeh Article Pasand aaya hai aur aapko is se kuch shikne ko mila hai to aap mujhe Social network jaise ki Youtube , Twitter , Facebook , Instagram , Telegram par Follow kar sakte hai aisi hi nyi jaankari se related article paane ke liye.Aur aap is post ko apne Relatives,Friends ko Share karna na bhule. Dhanywaad aapka din subh ho ????

Leave a Reply