Nokia 5.3 जल्द होगा भारत में लॉन्च जानिए क्या है फीचर्स

0
290
nokia 5.3 specification

Nokia 5.3 India mein jaldi hi launch Kiya Ja sakta hai. Nokia company ki official website per is Smartphone ko list kar diya gaya hai. Nokia 5.3 ko Indian market Mein jaldi hi launch kiye Jaane Ki Sambhavna badh Gayi Hain. Bata De Nokia 5.3 ko global market Mein March 2020 Mein Launch Kiya gaya tha. Agar hum iske main feature ki Baat karen to handset Quad-Core Snapdragon 665 processor, Quad rear camera setup or 13 megapixel ke primary camere ke sath aata hai device Mein 4000 MH ki battery ka istemal hua hai.

HMD Global ne apni website per Nokia 5.3 ki listing ko Live Kiya Hai. is listing ke bare mein sabse pahle Jankari Gizmo China dwara Di Gai listing main phone ke sabhi Aham specification aur features ka jikr hai. Hmd Global Ne abhi tak phone ka koi teaser Jari nahin kiya hai, ummid Hai Ki Aane Wale Dinon Mein Aisa Kar Diya jaega.

 Globe global market Mein Nokia 5.3 ki Price  EUR 189 ke Kareeb jo ki (15,200 Rs) se shuru Hoti Hai. India mein bhi Price range ishi ke aas paas ho sakti hai. Nokia India ki website se Ishara Milta hai ki phone ke 4 GB or 6 GB RAM ke option Honge, inbuilt storage 64GB ki Hogi, Device 4 Color mein Charcoal,cyan or Sand color mein peash kia ja sakta hai.

Nokia 5.3 Smartphone Specification 

  • Dual Sim Nokia  5.3 Android 10 par work karta hai ishe Anroid 11 par bhi upgrade kia jayega.
  • Phone mein  6.55 inch ka HD+ (720×1600 pixel) Display hai.
  • Screen aspect ratio  20:9 hai.
  • is par  2.5D Corning Gorilla glass 3 ki protection hai
  • .ismein qualcomm 665 processor ke saath 3 GB,4GB or 6GB RAM ke option diye hai.
  • Yeh four real camera wala samrtphone hai.
  • back side par f/1.8 aprture wale 13 megapixel ke primary camera ke saath ultra wide angel lense wala 5 megapixel ka secondary sensor hai.
  • camera setup mein 2 megapixel ka depth sensor hai aur saath mein 2 megapixel ka micro shooter bhi dia gya hai.
  • LED flash bhi hai.
  • Nokia 5.3 में F/ 2.0 Aparture wala 8 megapixel ka slefie camera bhi hai.
  • Nokia 5.3 ki inbult storage ke 2 option hai – 64 GB or 128 GB। Dono variant  hi 512 GB tak k Micro SD card ko support karte hai .
  • Connectivity features mein  4G LTE,WIFI 802.11 B/G/N/AC, Bluetooth 4.2, GPS/A-GPS,USB type C, FM Radio or 3.5 FM Headphone Jack bhi shamil hai.
  • Excelometre,Ambient light or proximity sensor bhi phone mein dekhne ko milte hai.Finger print sensore back side par hai is phone mein.
  • Nokia 5.3 ki battery capacity 4,000 mah ki hai.yeh 10 watt charging ko support karti hai.
Also Read:  Oneplus 8T Hidden Tips and Tricks

Also Read USB Type-C Kya hai ? Yeh USB 2.0,Micro USB,Mini USB se Alag kaise hai ?

 

Leave a Reply