
Almost 4 years ke lambe intzaar ke baad Netflix ne aakhirkaar india mein apne user interface ko hindi mein kr dia hai. Netflix ne apna localized version Hindi mein pesh kr dia hai. is update ke baad aap Neflix ka interface puri tarah Hindi mein dekh sakte ho . Ab ismein Signup,Title,Search aur Payment option har cheez aapko Hindi language mein milegi. Netflix Hindi service sabhi Apps aur Devices par available hogi chahe woh Mobile,Phone,Computer ya TV ho sabmein yeh facilty aapko milegi.
Is Tarah Set kre Hindi Language Set
Netflix Account mein Hindi option choose karne ke liye aapko sabse pehle “Manage Profiles ” mein jana hoga,
iske baad Language mein ja kar aap Hindi Langauge ko choose kar sakte ho
Yahan aapko bata du ki yeh option Profile Specific hai Means agar aapne apne profile mein hindi set ki hai toh dusre profile mein yeh apply nahi hogi. App jante hi honge ki netflix mein hum kai profile create kar sakte hai.Toh yeh langauge specific profile mein wohi rahegi jo aap use kar rahe hai .