
Blogger jab blogging start karte hai to kafi galtiyan karte hai,jis se unko kafi problems aati hai aur unhe blogging ka idea drop karna padta hai.
To aap mistake na kare isliye aap ko un galtiyon ke bare mein is article mein jaan ne ko milega. Mistake Done by Blogger :-
- jyadatar blogger paise kamane ki sabse pehle sochte hai aur wo blog start hote hi adsense approval ki taraf bhagte hai .nye blog par daily ka average 50 ya 100 visitor ka organic traffic means jo search se traffic aata hai .jis se ki adsense ki kamai kafi kam hoti hai.jo adsense ke code hum website par ya blog mein lagate hai unki javascript code ki wajah se blog ka load time increase hota hai .aur google page speed or performance ko kafi importance deta hai google ranking mein.isliye speed issue ki wajah se jo article rank karte bhi hai toh bhi woh out rank ho jate hai.is liye jab tak acha khasa traffic na ho blog pe to adsense ki jaldi nahi karni chiye.
- jyadatar blogger intezaar nahi karte,google nye domain ko jaldi se ranking nahi deta aur google nyi website ya blog ko sandbox period mein rakhta hai ,jis se wo rank nahi kar pati,yeh period 3 month ke ass pass ka samay hota hai. agar aap acha original content apne blog ya website par nahi likhoge to yrh time aur badtha jayega.
- nye blogger sabse badi galti yeh karte hai ki wo domain sabse pehle khird lete hai bina achi se research kiye ki kon se topic pe woh kaam karna chahte hai .apni pasand ke topic jisko niche bhi kaha jata hai ki jaankari aur research bahut jaruri hai blogging carrer mein.sabse pehle blogger ko topic search karna chiye,phir us niche ko find karna chiye,phir deep research karke ushi naam ka domain buy karna chiye.
- nye blogger website ya blogging mein aa to jate hai par blogging ke bare mein jyada jaante nahi hai ,isliye hamesha nye nye technique chahe woh SEO search engine optimization se related ho ya phir nyi nyi plugins,themes jaisi cheezo ke bare mein shikte rehna chiye.aajkal kafi aisi site hai jo humhe yeh gyan free mein bhi provide karwati hai.byteshastra.com ka maksad bhi yehi hai aapko technology gyan dena woh bhi free or easy language mein .
- ek aur cheez ki blog par article ya post bhi blog se milte julte topic se related hi likhe,jo aapki niche hai ushi se related kosish kre taki aapke jo visitor hai jo mann woh bana ke aapki website pe aaye hai unko us se realted hi nyi nyi post milti rahe hamesha.
- ek aur cheez ki consistency bahut jaruri hai ,means ki post ya article routine mein likhte rahe na ki ek din 10 aur bhi kafi time kuch likhe hi na.ek uniformailty ya ek system bana ke rakhe, ek time schedule ki itne din mein post ya article likhna hi hai .
Agar aapko Yeh Article Pasand aaya hai aur aapko is se kuch shikne ko mila hai to aap mujhe Social network jaise ki Youtube , Twitter , Facebook , Instagram , Telegram par Follow kar sakte hai aisi hi nyi jaankari se related article paane ke liye.Aur aap is post ko apne Relatives,Friends ko Share karna na bhule. Dhanywaad aapka din subh ho ????