
Agar appke pass Android Tv nahi hai aur aap chahte hai apne Normal Tv ko android tv banana to aap Xioami ki Mi Tv Stick use kar sakte hai .MI TV stick India mein 5 August ko launch hoga . MI TV stick india se pahle Europe Mein launch ho chuka hai .Xiaomi ka MI TV stick par user netflix, Amazon Prime video, Disney Plus hotstar,Zee5 jaise OTT platform Ki films or shows direct stream kar sakte hain. Xiaomi ka pehle bhi apna ek ultra HD 4k box market mein available hai.
Mi TV Stick ke Features
MI TV stick ki India launching ki news company ne apne Twitter account ke dwara di hai jismein unhone kaha hai ki yeh launch event 5 August ko aayojit kiya Jaega.
is device ke sath aapko Ek remote control Milega jo ki voice control ko Google Assistant ke dwara support karta hai. Sath ismein Chromecast support bhi available hai. is device mein aapko FULL HD(1920×1080 पिक्सल) 60fps Resolution ki streaming dekhne ko milegi.
yeh device Android TV 9 pi par based hai . is device Mein Android TV ka Google Play Store uplabdh hai ismein aap 5000 Se Jyada APP download kar sakte hain. ismein Netflix, Amazon Prime Jaisi lokpriya streaming service ke saath hi social media services be available hai.
MI TV stick ko Apne TV mein directly HDMI port se connect kar sakte hain. size main bhi Chhota Hai, halanki MI TV stick ka remote MI box ki tarah hi hai ismein bhi Netflix or Amazon Prime ke liye Hot key di gai hai.
Xiaomi Android TV Stick ka price aur kaise ye Amazon Fire tv Stick se alag hai
MI TV stick ki price Europe mein EUR 39.99 (Approx 3,500 Rs) hai, lekin Bharat mein is ki kimat abhi kam ho sakti hai. Bata De Bharat mein Ultra HD MI box 4K ki pricet 3,499 rupaye hai. Shyad yeh iski kimat se kam hoga .Sambhavna hai ki yeh stick Amazon fire TV stick ko Takkar De Sakta Hai Jiski price 3,999 rupaye Hai. firestick ke mostly option MI Tv Stick jaise hi hai. Also Read Top Most Useful Website on internet 2020 | इंटरनेट पर बड़े काम की वेब साइट्स
You can buy Mi Tv Stick Android from my Amazon store: https://www.amazon.in/shop/trendingviral
Agar aapko Yeh Article Pasand aaya hai aur aapko is se kuch shikne ko mila hai to aap mujhe Social network jaise ki Youtube , Twitter , Facebook , Instagram , Telegram par Follow kar sakte hai aisi hi nyi jaankari se related article paane ke liye.Aur aap is post ko apne Relatives,Friends ko Share karna na bhule. Dhanywaad aapka din subh ho ????