Jio Meet Kaise Use Kre | 100 Logon ke Saath Meeting Hua possible Free Mein

0
364
jio meet use kaise kre

Reliance Jio ki or se Jio meet free video conferencing APP ko launch kar diya gaya hai. yah Zoom APP aur Google meet ko  Takkar dene ke liye pesh Kiya Gaya Hai .Kafi Samay se is APP ke launch hone ki Charcha chal rahi thi, lekin Ab jakar  ise pesh kar diya Gaya Hai .Mukesh Ambani ki telecom company ne apne video conferencing APP ko dhumdham se launch Kiya Hai. jio ke APPS Pahle Se Hi Google Play Store ot Apple Store par uplabdh hai. ab Reliance jio Ne Apna naya product pesh Kiya Hai video conferencing ka aur yah zoom,Google meet, Microsoft teams aur Anya lokpriya video conferencing platform ke khilaf maidan Mein Utar gaya hai.

Reliance JioMeet (JioMeet VC app) Direct call ke sath hi 100 member ko jod sakte hai.Reliance jio ke anusar app enterprise-grade host niyantran pradan karta hai. aap apne phone number ya email id ke sath sign up kar sakte hain .aapko Bata Dete Hain ki meeting ko aap HD quality mein dekhne wale hain. yeh APP sabhi Ke Liye free hai. is APP ke Madhyam se aap  meeting ko password protected rakh sakte hai, iske alava aap ek hi Din Mein unlimited meeting bhi kar sakte hain.

Jio meet ka Kafi Samay se Intezar Bhi Kiya ja raha tha. aap ise Sidhe Apne browser ke through bhi use kar sakte hain,lekin aapko Bata Dete Hain Ki Aisa aap Usi Samay kar sakte hain Jab aap Chrome  or  Firefox browser ka use kar rahe ho. ishe Windows, Mac iOS or Android ke liye APP Banaya Gaya Hai. Aap jio ki site par jakar bhi ishe download kar sakte hai .wahan aapko sabhi plateform ke liye Link mil jayega.

Aapko Bata Dete Hain Ki jiomeet ko bahut hi Saral interface ke sath Banaya Gaya Hai. Jo Vastav mein zoom APP Ki Tarah hi Najar Aata Hai. Lekin Iske parikshan se Pata Chala Hai Ki yah Anya Pramukh APP ki tarah Hi Kam bhi karta hai. jio meet ka kehana hai ki APP per multi-device login ko support  bhi karta hai aur call per Rahte Hue aap device ke beech Mein switch bhi kar sakte hain. ismein safe driving mode feature bhi hai, saath hi screen sharing Jaisi suvidha bhi aapko ismein Mil Rahe Hain.

Also Read:  How to Fix Common Camera Problems on Android Phones

Yeh bhi Dekhe : Instagram Reels Tiktok Jaisa feature Launched, Aise kar sakte hai use

Kaise Use karen jio meet :

  • iske liye aapko sabse pahle Jio meet ko Google Play Store, Apple App store ke Madhyam se download karna hoga.
  • Iske bad aapko APP ko open karna hoga yahan aapko Ek login page milega.
  • yah aapse login ke liye aapki email ki Mang kar sakta hai, ismein aap apne phone number ke through bhi login kar sakte hain.
  • Iske bad Jab aap signup karte hain to aapko OTP ke through message aayega.
  • Jab ham ismein login kar dete Hain To aap Badi aasani se isko istemal kar sakte hain aur iska user interface bahut hi easy hai.

App is video tutorials ke through bhi jiomeet ke bare mein ache se jaan sakte hai

Agar aapko Yeh Article Pasand aaya hai aur aapko is se kuch shikne ko mila hai to aap mujhe Social network jaise ki Youtube , Twitter , Facebook , Instagram , Telegram par Follow kar sakte hai aisi hi nyi jaankari se related article paane ke liye.Aur aap is post ko apne Relatives,Friends ko Share karna na bhule. Dhanywaad aapka din subh ho ????

Leave a Reply