Google People Card | Digital Visiting Card Aise Banaye Free

0
610
Create people cards

Google Apne User experience ko aur better karne ke liye naye features Lata rehta hai. ishi liye google laya hai apne users ke liye khas feature ” People cards”. is feature Ke Aane Se Google search mein users ko actual Visiting card banane ki Suvidha milegi. digital visiting card ke jariye user Google search mein apni website social media handle aur dusri Jankari share Kar sakte Hain.

Kaise Kaam karti hai Peoples Card Service

Yeh service Google ki “knowledge Graph” Ka istemaal Karke use Jankari ko Display karti hai jo user Ne Di hoti hai. service ko use karne ke liye user ko mobile number dena hota hai. Google search per people card banane ke liye user ke pass Google account Hona jaruri hai.

Mobile user Ke Liye Hi Hai Yeh People Card service

is service ko abhi Google mobile user Ke Liye Hi offer kar rahi hai. iska matlab Hua ki aap ko apni public profile banane ke liye apne mobile device a Google account mein  login karna hoga. yah service Keval English mein hi uplabdh hai.

Google ka kehana hai ki google is service ke through  public Tak Sahi Jankari paunchaane ki koshish kar raha hai. is service Ke Aane Se galat user, Language, aur low quality content ko pahchane Mein madad Milegi.Saat hi Company service ke jariye humen review, automatic technique Ka use Karke Google ki policy ka ullanghan Karne Wale content per bhi lagam Lagane Wali Hai. people card ka galat istemal Na Ho iske liye company Ne ek account ke liye ek hi people card banane ki Suvidha Di Hai.

Also Read:  Quora Partner Program Se Kaise Money Earn Kare

Google per Aise banaye Apna People card

  • Apna people card banane ke liye sabse pehle Google account mein sign in karen.
  • Iske baad aap ko ‘add me to Search ‘ search karna hai .
  • Aap ko ‘add yourself to Google search’ ka option Milega
  • is message per Tap Karen
  • Tap karne ke bad Google aap se aapka phone number Mangega.
  • number ko 6 ankon wale code se verify karna hoga.
  • jo enter kiye Gaye mobile number per aaega.
  • Iske pass Google aapko Ek form Dega.
  • ismein aapko public profile banane ke liye Jaruri Jankari Deni Hogi.

Google People Card Tutorial Video

Yahan aap ko Apne Work,Education ke alava Aur Bhi ki detail enter karne ki Suvidha mil Jaati Hai. Yeh bhi dekhe Apna EPF Claim Status Kaise Check Kre

Leave a Reply