
Is article mein aap shikhoge ki kaise Aadhaar Card Ghum ho jane par bina Mobile Number ke Naya Card kaise banwa sakte hai .Aadhaar card bharat sarkar dawara dia gya ek Unique Identity card hai jo main document hai pehchan ke liye.
iski importance aur need sabko ache se pata hai .kayi log aadhaar card ko saath mein rakhte hain aur kayi log ghar par rakhte hain। kayi baar aadhaar card ke kho jaane se ham musibat men pad jaate hain, kyonki eske binaa kayi kaam ruk jaate hain। aadhaar card kho jaane par uske saath Registered Mobile Number ki jarurat padti hai.
Kuch Aur Kaam ki Post:
- Prevent to Add in Whatsapp Group -व्हाट्सप्प ग्रुप में ऐड होने से कैसे बचे
- Facebook 3D Photo Tool -फेसबुक में नार्मल फोटो को 3 डी में बदलें
yadi aapkaa aadhaar kho gayaa hai aur aapkaa Registered Mobile Number bhi nahin hai to nayaa aadhaar card kaise niklegaa? aaea ham aapko bataate hain ki Aadhaar Card Ghum ho jane par bina Mobile Number ke Naya Card aise banwayein……
Sabse pehle aap apne phone ya computer par ek website khole https://uidai.gov.in/hi/
jo ki ek hindi sarkari website hai aadhar card ki .agar aap english website par jana chahte hai to yeh wali website khole https://uidai.gov.in
yahan par aapko left hand side mein Get aadhaar section mein Order Aadhaar Reprint ka option milega , is par click kre aur apna aadhaar number,security code daale aur Request OTP wale box par click kr de.
agar aapke paas registered mobile number nahin hai to “Do Not Have Registered Mobile Number” par tik karne ke baad maujudaa mobile number daalen aur send OTP par click karen। eske baad mobile par aaye OTP ko right hand side mein screen par dikh rahe box mein OTP daale
OTP daalne ke baad Aadhaar Card kaa preview show hoga , preview mein name,date of birth,address jaisi jaankari aapko show hogi. iske baad aapko 50 rupay jama karwane honge jo aap credit card,debit card,internet banking,UPI payment ki help se payment kar sakte hai . bas iske baad aapka aadhaar card aapke address par pahunch jayega.
Agar aapko Yeh Article Pasand aaya hai aur aapko is se kuch shikne ko mila hai to aap mujhe Social network jaise ki Youtube , Twitter , Facebook , Instagram , Telegram par Follow kar sakte hai aisi hi nyi jaankari se related article paane ke liye.Aur aap is post ko apne Relatives,Friends ko Share karna na bhule. Dhanywaad aapka din subh ho ????