
jab se mobile phone smart hua hai tab se is se jude khatre bhi bad gye hai.aaye din samrtphone hack hone se lekar data leak hone ki khabar sun ne ko milti hai.ab aise mein kaise apny phone ko hack hone se bachaya jaye,iska jawab is article mein aapko bataya gya hai .yahan kuch khas tariko ke bare mein bata raha hu jinki help se aap apne device ko safe aur apney data ko protect karke leak hone se bacha sakte hai ,aaiye jaante hai in tips ke bare mein ……
Password App ka Use kare
normally strong password create karna thoda musqil hota hai. hum jo password rakhte hai woh strong nahi hota aur usko break karna easy hota hai ,isliye password ko strong rakhe hamesha uske liye password app ka use kre jo aapko strong password create kr ke deti hai. yeh apps aapko google play store or Apple iphone ke app strong par available hai.
Yeh bhi Try kre:
Messaging App ka use kre
waise to hum phone mein normal message plateform ka use karte hai message karne ke liye,aur hamare message mein bank se related data bhi hota hai,isliye hum chahe to normal message ki jagah messaging app ka use kar sakte hai ,jinmein humhe kafi option bhi milte hai aur yeh encrypted algorithm ka use karte hai jo in message ko safe rakhte hai hack hone se.isliye jahan tak ho sake messaging app ko use kre message karne ke liye.
Smartphone ko Update kre
Apne smartphone ko time to time update karte rahe kyunki is se hackers ko aape phone ko hack karne ka chance kafi kam ho jata hai. update mein kai android security patch update karti hai developer companies jo protect karte hai aapke phone ko hacking or invalid activities se.
Public Wifi ka use mat kare
hackers mostly public wifi ko hi adhik hack karte hai .isliye public wifi ka kam se kam use kre,jahan tak ho sakte apne mobile data ko use kre ya trusted wifi spot ko hi use kre,ya phir apne friend ka hotspot use kre.
Third party App use na kre
koshish kare ki koi bhi App phone mein official store se hi download kre,third party App kai baar trusted source se nahi hoti unmein virus ya spyware ho sakta hai jo aapke data ko chura sakte hai aur aap musqil mein fas sakte hai
Agar aapko Yeh Article Pasand aaya hai aur aapko is se kuch shikne ko mila hai to aap mujhe Social network jaise ki Youtube , Twitter , Facebook , Instagram , Telegram par Follow kar sakte hai aisi hi nyi jaankari se related article paane ke liye.Aur aap is post ko apne Relatives,Friends ko Share karna na bhule. Dhanywaad aapka din subh ho ????
[…] Apne Phone ka Data Leak hone se Bachaye Try Kre Yeh… […]
[…] Apne Phone ka Data Leak hone se Bachaye Try Kre Yeh… […]
[…] Apne Phone ka Data Leak hone se Bachaye Try Kre Yeh… […]
[…] vaise kise ke saath aisa na ho to hi acha hai lekin khuda na khasta yadi kise ka phone kho jaata hai to sabase jyaada chinta phone mein maujood numbar, video, photo aur files ki hoti hai. aise mein aap Auto backup on karake rakhe. isake lie phone ki settings mein system mein jaakar backup ko on karen aur apane Gmail ID ko select, backup now par click karen. haalaanki yah kaam Wi-fi network par karen nahin to jyaada files hone par phone ka data khatam ho jaega. Yeh bhi read kre Apne Phone ka Data Leak hone se Bachaye Try Kre Yeh 5 cheeze Tips. […]